Thursday, 17 November 2011

Zikr-e-shab-e-firaaq se vah'shat use bhi thi

Zikr-e-shab-e-firaaq se vah'shat use bhi thi

meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka

rasta badal ke chalane ki aadat usay bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagu

masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

sunata tha vo bhi sab se purani kahaniyaa'n

taaza rafaqato'n ki zarurat usay bhi thi

mujh se bichhar ke shahar mein ghul mil gaya wo shakhs

halaa'n-k shahar bhar se raqabat usay bhi thi

wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya

varna har ek saans qayamat usay bhi thi

0 comments:

Post a Comment

Online jobs

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Find us on Facebook

Total Pageviews

Our worldwide fans

Free counters!

Online Working - Jobs

free web site traffic and promotion Free SEO Tools
Submit ExpressSearch Engine Placement

Popular Posts