Tuesday 7 February 2012

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

Urdu Poetry by Amjad Islam Amjad



Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
To Chaand Raaton Ki
Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
Tumharay Kadmoon mai
Aa giray To Yeh Jaan Laina
Woh Istiaara Tha Meray Dil Kaa
Agar Naa Aaye?
Magar Yeh Mumkin Hi Kis Tarha Hai

Kay Tum Kisi Par Nigah Dalo
To Us Ki Deewaar-e-Jaan na Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye

 
Agar kabhi Meri Yaad Aaye
Garaiz Karti Hui Hawaoon Ki Lehroon Pay

Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main Tumhain Miloon Ga
Mujhay Gulaab Ki Patioon Main Talaash Karna
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous, Khushbhuoon Main
Naa Paoo Mujh Koo
To Apnay Kadmoon Main Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon Main

Tumhain Miloon Gaa
 

kahin Pay Roshan Chiraagh Dekho To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In
Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar
Sumandar Main Safar Karoon Gaa
Kisi Naa Dekhay Huay
Jazeeray Par Ruk Kay
Tumhain Sadain Doon Ga
Sumandaroon Kay Safar Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna
Agar Kabhi Meri Yaad Aay...!






0 comments:

Post a Comment

Online jobs

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Find us on Facebook

Total Pageviews

Our worldwide fans

Free counters!

Online Working - Jobs

free web site traffic and promotion Free SEO Tools
Submit ExpressSearch Engine Placement

Popular Posts