Wednesday 9 November 2011

Khuda say Husn nay ek roz yeh sawal kiya


Khuda say Husn nay ek roz yeh sawal kiya
Jahan main kiyon na mujhay tu nay lazawal kiya

Mila jawab k tasveer khana hai duniya
Sab-e-daraz-e-adm ka fasana hai duniya

Hui hai rang-e-taghiyur sai jab namod iss ki
Wohi haseen hai haqeeqat hai zawal jis ki

Kahi qareeb tha yeh guftago qamar nay sun li
Falak pai aam hui akhter saher nay sun li

Saher nay taray say sun ker sunnai shabnam ko
Falak ki baat batadi zameen k mahram ko

Bhar aye phool k ansu payam-e-shabnam say
Kali ka nan'nah sa dil khoon ho gaya ghum say

Chaman say rota hua mausam-e-bahar gaya
Shabab sair ko aya tha sogawar gaya

0 comments:

Post a Comment

Online jobs

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Find us on Facebook

Total Pageviews

Our worldwide fans

Free counters!

Online Working - Jobs

free web site traffic and promotion Free SEO Tools
Submit ExpressSearch Engine Placement

Popular Posts